Thursday, 13 October 2016

Acne khatam krna- How to cure Acne

Acne aksar teenagers ke liye ek problem mana jata hai, kissi bhi umar ke logo ko acne ke symptoms ko experience karna hi hota hai. Ye aamtor par tab hota hai jab aapki skin badhte hue polution ko face karti hai or aise me hormones ke badlav se skin me kil, muhase or daag dhabe nikal jaate hai. Or sirf acne polution ke karan hi nahi balki humare galat khane se bhi face ka rang roop badal jata hai. Mostly dekhne ko milta hai iss umara me junkfood ka use skin me daag dhabe badha deta hai. But don’t worry doston yahan number of gharelu tarike hai jo aapki help kar sakte hai. Aap iss gharelu tarike ko use kar apne face ko clean or fair bana sakte hai.
Acne (muhase) Theek Karne Ke 3 Gharelu Tarike

Muhase Kaise Thik Kare

Agar aapko muhase ki problem hai to tension na le, humare pas gharelu se lekar upay hai. Niche humne best and unique tips bataye hai, inhe padhe aur aajmaye.

1. Face Ko Ache Se Wash Kare

  • Sahi cleanser ko select kare : aapko aisa face wash chahiye jo non-abrasive ho. Make sure ki aap jo bhi product use kar rahe ho vo alcohol free ho taki aapki skin irritation dur ho sake. Agar aap unsure ho ki kon sa cleanser aapke liye best hoga to apne dermatologist se recommendation jaroor le.
  • Warm Water se apne face ko gila kare : doston cold water se apke face ke pores close ho jaate hai isliye gungune pani ka istemal karna theek hoga. Jab aap apne face ko dho rahe ho to, aapko chahiye ki apke pores dirt, oil or bacteria se free ho jaye.
  • Cleanser ko face par apply kare : isko apply karne ke liye only fingertips ka use kare. Ek washcloth or sponge aapke face ko irritate karva sakta hai. Face dhote time scrub na kare kyuki ye bhi aapke face ko irritate kar sakta hai. Sirft cleanser apply kare.

  • Gungune pani (Warm Water) se dho le : phir se gungune pani ka istemal cleanser ko saaf karne ke liye karna padta hai taki aapke pores khul jaye or dirt & bacteria skin se dur ho jaye.
  • Clean towel se apne skin ko sukhaye : towel se skin ko rub na kare. Iske bajaye, bas dheere se towel ke sath apne face ko dhapdhapaye.
  • Jaroori hai to moisturizer ka use kare : bahut se log jinke face me muhase hote hai vo moisturizers ko avoid karte hai, but doston face ko healthy rakhne ke liye moisture ka use jaroori hai. Face ko wash karne se dryness paida hoti hai. dhone ke baad dryness se fight karne ke liye oil free moisturizer fingertips ke sath apply kare.
  • Ek din me do baar ya sweating ke baad face wash kare : agar aap sochte hai ki acne me baar baar face wash karna sahi hoga to, ye galat hai. Bahut jyada face wash se aapke skin ko protect karne vale oil bhi hatne lag jaate hai jiski vajah se aap apni umar se jyada dikhne lag jaate hai. Upper diye gaye steps ko sirf din me do baar use kare, morning and night. Sweating ke baad skin ko wash karna chahiye.

2. Muhase Ke Ilaaj Ke Liye Natural Upchar

  • Australian tea tree oil ka use karna : ye ek clinical evidence hai ki tea tree oil skin ke liye effective hai. Ye ek natural astrigent ke roop me kaam karta hai or immune system ko stimulate kar sakta hai, ye muhase se ache se fight karta hai. Kuch logo ko tea tree oil se allergy hoti hai. To aise me face par use karne se pahle, tea tree oil ke drop ko kahi or test kare, like your arm or leg. Kuch minute wait kare agar rash develop hota hai to usse apko allergy hai so usse face par lagane se avoid kare. Tea tree oil toxic hota hai to usse ingest (निगलना) na kare.
  • Pimples me lemon juice lagaye : lemon juice bacteria ko kill karta hai or sath hi sath skin ke circulation stimulate karta hai, jo muhase se fight karne ke liye kaphi hota hai. Isko apply karne ke liye pahle face ko normally wash kare. 2 teaspoons ek bowl me lemon juice dale. Phir cotton se pimples me lemon juice ko apply kare. Iss treatment me 30 minutes at least face par apply ke baad saaf kar dena chahiye vo bhi cool water se. Agar aap isse night me karte ho to, sone se pahle face me lagaye then morning cool water se wash kar le.

Honey ka use kare : muhase ke liye honey effective treatment maana jata hai because of its antibacterial properties. Apne muhase me honey apply karne se pahle, apne jawline me ek small amount honey dab kare. 30 minutes tak wait kare or dekhe ki koi adverse reaction to nahi hua hai. Agar hua hai to, honey apply na kare. Aap honey ko do tarike se use kar sakte hai, ya to aapne muhase me honey lagaye ya fir pure face me honey ka mask lagaye. 30 minutes ke baad cool water se face wash kare.
  • An apple cider vinegar toner ka mixture : ye aapke skin ke pH ko balance me rakhne me help karta hai. Ye also bacteria ko kill karti hai or face ko soft rakhti hai. Isko use karne ke liye clean glass bottle me store kare or hot water and soap ka use kare. Container me ½ cup of water or ½ cup of apple cider vinegar dale. Bottle ko cover kare and ache se ingredients ko shake kare. Iss toner ko pimples me cotton ke through apply kare. Iss mixture ko cool, dry or dark place me store kare.
  • Haldi ka mixture : muhase ke liye effective tarika samjha jata hai. Iske liye ¼ teaspoon haldi powder or 2 teaspoons coconut oil ka mixture banaye. Pure face me iss mixture ko apply kare. 15 minutes ke baad cool water se wash kar le.
  • Tomatoes ko muhaso me rub karna : naturally isme antioxidants & vitamins A and C hota hai jo muhaso ke liye badiya sabit hota hai. Isko apply karne ke liye tomatoes ke slice katte. Skin ke half areas me rub kare jahan muhase hai. Kuch seconds ke liye uske juice se face par massage kare. Warm water se face wash kar le. Best results ke liye ek din me do bar apply kare.
  • Egg ka white mask use karna : skin ke surface ko tight karna or pores ke size ko reduce karne me help karta hai. Ye muhase se bhi fight karne me aage hai. Sabse pahle face ko ache se wash kare. 3 eggs crack kare and egg ke yolks ko whites se alag kar de. Usme lemon juice ko bhi add kar sakte hai. Iss addition se face ke blackheads and whiteheads remove ho jaate hai. Egg ke white ka ek foam banaye. Isse face me 15 minutes tak apply karke rakhe. Then warm water se wash kare and phir apne skin ko moisturize kare.
  • Dahi ka use kare : dahi se pores open ho jaate hai. Iske liye 1 tablespoon dahi ka face par apply kare. 15 minutes baad isse cool water se saaf kar le. Iss treatment ko aap daily repeat kar sakte hai.

3. Proper Diet ke sath Muhaso ka Ilaaj

  • Khub pani piye : humare face ke liye pani bahut jaroori hai. Water se body ke toxins flush ho jaate hai and circulation ko improve bhi karta hai. Ek best tarika hai body me pani ka pta karne ka vo hai apne urine ke color ko pehchana : agar color mostly clear hai to it means body me enough water hai, or agar yellowish color hai to iska matlab body me pani ki kami hai.

  • Apne diet me proteins ko add kare : body protein se amino acides ka use karta hai jisse collagen produce hota hai. Ye nutrient skin ko healthy and hydrated banaye rakhne me help karti hai. Seafood, poultry, dairy products and eggs, beans and soy protein ke best sources hai.
  • Vitamin A khaye : jisse skin me oil produces hota hai usse vitamin A hatane me help karti hai. Isme Sweet potato, caroots, dark green vegetables and sweet peppers include hota hai.
  • Apni diet me sugar ko cut kare : human ke blood me insuline ke levels ko stimulates karta hai, jo ki skin me amount of oil ko increase karta hai. junk foods ko limit me khaye and soft drinks ko diet se cut kare.
To friends aapko humara ye article kesa laga, hume jaroor comment ke through btaye. Like and share karna na bhule. Thankx for visiting our site and have a nice day.

No comments:

Post a Comment